Do You Like/Dislike Plz Leave Your Comment.
Sonu Kumar
Ek bar jab ek admi mar gaya to yamraaj ne use chitrakut (accountant) ke paas le gaya aur kaha ki chitrakut batao ki isne kitne paap (bure) aur kitne punya (acche)kaam kiye hai. jab chitrakut ne dekha to kaha ki yamraaj se kaha ki isne to dono he 50-50 percent kiye hai. to yamraaj soch me pad gya ki isse kaha le jau swarg yaa nark me to usne socha ki isse dono jagah dikha deta hu jo isse pasand hoga ussi me isko chod dunga.to yamraaj ne swarg se he shurwaat ki aur use swarg dikhate hue bola ki tum acchi tarah se dekh lo phir muje apna final decision dena. to uss admi ne bade dhyan se dekha ki waha par log apna kaam khud kar rahe hai, apna khana bhi khud paka rahe hai din bhar mehnat kar rahe hai. usne yeh dekhkar socha ki ab nark ko bhi dekh liya jaye ki wah kaisa hai. to usne yamraaj se kaha ki muje nark bhi dikha dijiye main wah bhi ek bar dekhna chata hu phir main apna final decision dunga ki main kaha rahunga to yamraaj ne kaha thik hai phir use nark dikhane lage to uss admi ne dekha ki yaha to swarg se bilkul ulta hai yaha koi apna kaam nahi karta sabhi aram se rahte hai aur din bhar pura aish-mauj karte hai aur unhe khane ke liye bhi bana banaya khana milta hai. sabhi pure mauj-masti se rahte hai aur sukhi hai.to usne bina soche samje turant kah diya ki yamraaj ji muje yahi narak me rahna hai pata nahi log ise kyo bura kahte hai. to yamraaj ne bola ki ek baar phir se soch lo ki tumhe kaha rahana hai. to us admi ne kaha muje yahi rahna hai. to yamraaj ne use wahi chod diye aur chale gaye. jab wah admi nark me gaya to dekha ki usne jaisa dekha hai ander me to bilkul ulta hai to wah turant bhag kar yamraaj ke paas gaya aur bola ki yamraaj ji muje jaisa dikhaya gaya tha narak waisa nahi hai mere sath dhoka hua hai muje jaisa dikhya gaya tha yeh waisa nahi hai.
to yamraaj ne kaha ki yeh sab aapki he duniya ka tarika hai jaha par log marketing ke karan acche saman ko bhi bura dikha dete hai aur apne bure saman ko bhi acche dikha dete hai aap log ka he yeh tarika hai to isme kya galat hai aap batyai. aapko soch samajkar faisala karna chaiye tha.yah duniya he aap log ne aisi bana di hai log kahte kuch hai sunte kuch hai aur karte kuch hai. thodi si mauj-masti ke liye aap apne lakshya se bhatak gaye isme meri kya galti hai. ab aap ko wahi rahna hoga wah aapne apne liye khud chuna hai.
Iss Kahani me he Sari Sachai hai Success hone ki Bas Jarurat hai iss kahani ke karan ko samajne ka.
Sonu Kumar
mehnat karna chahiye ...... na ki dikhaway par jana chahiye
ReplyDeleteaakho se dikha har chijh sachi nahi hoti
use apne dimag ka v use karna chahiye