Thursday, 23 October 2014

*** Plz help Poor Child & Celebrate Real Diwali ***


























Ek Garib bache ki Aankho me Maine, 
Diwali ke sapne ko uski ankho me marte dekha,
Patkho ki chah liye use traste dekha......
Thi use bhi chah naye kapdo ki par
Par unhi purane kapdo ko maine use saaf karte dekha
Jaha ham karte hai sada apne gamo ki numaies
Use chup-chap apne gamo ko pite dekha.
Maa-baap the nahi uske..........
Par use Maa ka pyar aur baap ke ungilo ki kami ka ahsaas karte dekha.
Jab maine kaha ki, Bache kya chaiye tumhe.......
too use chup-chap muskra kar "Naa" me sar hilate dekha.
thi umr to bahut choti abhi uski........
Par uske ander maine uske Zameer ko palte dekha,
Raat ko saare sahar ki Dipo ki lau me.....
Maine uske muskarate, magar bebas chere ko dekha.
Ham to Zinda hai shaan se yaha
Par use to jite jee Shaan se marte dekha.......
Koi manata hai Jashn aur koi rahta hai tarashta......
Maine wah dekha jo hamlogo ne dekhkar bhi nahi dekha.......
Yeh dunia bhi kitni ajeeb hai.......
Kisi ka Dil jale aur ham use Diwali samjhe.



*** Plz help poor child & Celebrate Real Diwali *** 

No comments:

Post a Comment